Subscribe on Facebook

Saturday, September 29, 2012

ZINDAGI : "KHATA KHAYAL KI"


Teen screens mein simat gayi hai zindagi,
Laptop/Desktop,Mobile aur television mein lipat gayi hai zindagi

wada roj karte hain hum samay ko khud ke dayre mein rakhney ka,
kuchh pal apno ko apnaney ka aur kuchh pal zindagi ko chakhney Ka...

reh jaatey hain bas ek ankahi ansuni uljhan ki dariya mein,
aur log samajh lete hain ki badal gaya hun main khud ki nazariya mein....

muskura detey hain hum dusron ke hoton ki muskaan dekhkar,
bhool jatey hain bebasi ko shayad palkon ki thakaan dekhkar....

nikal jaatey hain har roj bas soch ki ek gehrayi saath liye,
laut bhi aate hain ghar ko,bas din bhar ki kamayi haath liye....

zindagi ka maksad ab har roj kahin door baithkar niharta hai humein,
kabhi hansata,kabhi rulata aur kabhi sawaarta hai humein.....

umeedon ke aaghosh mein ek-ek din roj jee lete hain hum,
zindagi ki isi sachai ko araam se roj pi lete hain hum....

movie,serials aur drama ko khud se relate karte hain aajkal,
saas-bahu,maa-baap,beta -beti har pal debate karte hain aajkal....

rishton ki dore paise ki takat se toot rahi hai,
isi vajah se khilkhilati zindagi bhi humse rooth rahi hai....

Pareshaniyon ka solution bhi ab google par search karte hain,
bas FB,Tweeter,Linkedin par popular honey ka research kartey hain....

Apno ki zarooraton ko mail/Msg par read karte hain,
Revert,reply,delete karke khusiyon ka database feed kartey hai....

zindagi ki sachai se offline hokar,online ho jate hain,
Hi,Hello,Wassup mein he baseline ho jate hain..........

kaisa nazariya,kaisa daur,kaisa afsana hai ye,
isi soch mein aksar nipat gayi hai zindagi.....
teen screens mein simat gayi hai zindagi,
Laptop/Desktop,Mobile aur television mein lipat gayi hai zindagi. s.s. 
--
PS :IT's somehow,somewhere,somewhat   close to everyone's life now a days, This has been written by my very good friend saurabh who i call chinaman from our cricketing days , he is now our new guest blogger at DVD

सौरभ
एक गहन चिंतन ,मन की अभिलाषा को व्यक्त करने वाला और अत्यंत दूरदर्शी व्यक्ति जो यथार्थ को यथार्थ की परिभाषा देना चाहता है और जो ज़िन्दगी की हर एक तरंग को 
महसूस करके उसे एक शाब्दिक पहचान देना चाहता है . जो ज़िन्दगी काटने की बजाए ज़िन्दगी जीना पसंद करता है. व्यवसाय से एक सॉफ्टवेर  इंजिनियर पर सिल से एक आम इंसान की प्रतिमूर्ति .

4 comments:

  1. ye sirf sachai nahi majboori hai aaj ki zindagi ki---apne bahut achchi tarah darshaya hai ise

    ReplyDelete
  2. halfway tru the post i was actually thinking "this isnt his style" ! but this guest post is a pleasant surprise. yes ur friend seems very keen and observant

    ReplyDelete
  3. He he Doctor !!!Thanks for visiting again after a long time , keep visiting.

    ReplyDelete